Festivals & Tourism

Judai Shayari Sad Mood by Mustafa Kamaal

Ey Muhabbat ki nagri men aany ki khwahish liey dar bdar phirny walo suno
Humko her wqt hasny ki aadat thi bilkul tumhari tarha
neend aankhon mein yun thi k jesy hi bistr pey aa k girn to hmen khawb aany lagen
kan makhsus aazwaz sunny ki khatr trasny k bilkul bhi aadi na thy
eik chehry ko takny ki hasrt liey ben krti hui aankh dekhi nahi thi
ungliaan eik message ko likhny mitany sey bilkul bhi waqf nahi thi
phir hmen eik din hmen ek haseena ki aankno ka darshan hua
neend looti gai, khawb jaaty rahy
Is hassi k iwaz humko taawan mein siskian di gai
hath apni muhabbat k alfaz likhty huey kapkapaney lagy
zindagi raat dhalty kisi taar per tanha bethy kabutar ki manind hui
jiska mery bina aik pal na guzarta tha ab saal hony ko hey
Ey Muhabbat ki nagri men aany ki khwahish liey dar bdar phirny walo suno
gar abhi bhi muhabbat ki khwahish hey phir ek naseehat suno
aik hansoo ka jora khareedo unhen tum elehda karo
eik marny pey gar aik bach jaey to phir ijazat hey tumko k tum bhi muhabbat karo

Mustafa Kamaal More Poetry

Zafreen Gohar

1 comment

Your Header Sidebar area is currently empty. Hurry up and add some widgets.